Tuesday, March 4, 2014

Kabir Dohe -10-


एसी वाणी बोलिए, मन का आपा खोय ।
औरान को शीतल करे, आपहु शीतल होय ॥

Esi vani boliye, man ka aapa khoy
auran ko sheetal kare, aapahu sheetal hoy...

Man se ghamand ko bisaar kar aisi vaani boleni chahiye jo dusron ko sheetal kare.arthat sabko sukh kar lage aur manusya aap bhi shant ho jaye...

------------------------------------------------------------------------------------------

हीरा वहाँ ना खोलिये, जहाँ कुजड़ों की हाट ।
बांधो चुप की पॉटरी, लागहू अपनी बाट ॥

Hira wahan na kholiye, jahan kujdon ki hat
bandho chup ki potari, laagahu apni bat...

Apni hiron ko kunjdon ko bazar men kyun kholete ho woh bhala iska kya mulya jaane,bas isi men bhalayi hai ki chupke se apni potali bandh kar apne marg par chal do.yani apni sikhya laparwahon ko dekar apna samay kyun ganvate ho.jab tum kadradan nahi pate ho apni bahumulya sikh ganth men bandho aur apna karya karo...

------------------------------------------------------------------------------------------

कुटिल वचन सबसे बुरा, जारी कर तन हार ।
साधु वचन जल रूप, बरसे अमृत धार ॥

Kutil vachan sabse bura, jari kar tan haar
sadhu vachan jal roop, barse amrut dhar...

Kthor sabd tan ko jala kar raakh kar deta hai isliye bahut bura hai..aur nahi kahna chahiye..sadhu ki baat paani ki bhranti hai is se amrut dhar barasti hai..jisse dusron ko labh pahanchta hai..

------------------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment