कबीरा सोया क्या करे,उठी न भजे भगवान ।
जम जब घर ले जायेंगे,पड़ी रहेगी म्यान ॥
Kabeera soya kya kare,uthi na bhaje bhagvan
jam jab ghar le jayenge,padi rahegi myan..
kabeer das ji kahate hain ki he prani!tu sota rahta hai (apni chetna ko jaga)uth kar bhagvan ko bhaj kyun ki jis waqt yam doot tujhe pakad kar le jayenge to tera yeh sareer myan ki tarah pada raha jayega....
------------------------------------------------------------------------------------------
शीलवन्त सबसे बड़ा,सब रतनन की ख़ान ।
तीन लोक की सम्पदा,रही शील में आन ॥
Sheelavant sabse bada,sab rtnan ki khan
tin lok ki sampada,rahi sheel men aan...
jo sheel swabhav ka hota hai maanowo sab rtno ki khan hai.kyun ki teeno lokon ki maya sadachari (sheelvant) vyakti men hi aakar basti hai...
------------------------------------------------------------------------------------------
माया मरी न मन मरा, मर-मर गए शरीर ।
आशा तृष्णा न मरी, कह गए दास कबीर ॥
Maaya mari na man mara,mar mar gaye shareer
aasha trushna na mari,kaha gaye das kabeer...
kabeer das ji kahate hain ki manusya ka man tatha usme ghusi huyi maya ka naash nahi hota aur uski aasha tatha echayen bhi nasta nahi hotin.keval dikhne vala shareer hi marta hai.eshi karan wah dukh roopi samudra me sada gote khaya karta hai..
------------------------------------------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment