Tuesday, March 4, 2014

Kabir Dohe -12-


कबीरा अपना काठ की, क्या दिखलावे मोय ।
हृदय नाम न जपेगा, यह जपनी क्या होय ॥

Kabeera apna kath ki, kya dikhlave moy
hruday naam n japega, yeh japni kya hoy...

Kabeer ji kahte hain ki is lakdi ki mala se kya hota hai..yeh kya asar dikha sakti hai..agar kuch lena aur dekhna hai toh mann se Hari sumiran karo..bina mann lage jap vyarth hai....

------------------------------------------------------------------------------------------

पतिव्रता मैली,काली कुचल कुरूप ।
पतिव्रता के रूप पर, वारो कोटि सरूप ॥

Pativrata maili,kali kuchal kuroop
pativrata ke roop par, vaaro koti saroop....

Kabeer das ji kahte hain ki pativrata shtree chahe maili-kuchaili aur ku roopi ho ..lekin aisi shtree ki is visheshata par sari sundartayen nichavar ho jati hai....

------------------------------------------------------------------------------------------

वैध मुआ रोगी मुआ, मुआ सकल संसार ।
एक कबीरा ना मुआ, जेहि के राम अधार ॥

Vaidh mua rogi mua, mua sakal sansaar
ek kabeera na mua, jehi ke ram adhar....

Kabeer ji kahte hain ki bimar mar gaya aur jis vaidh ka use sahara tha wo bhi mar gaya yehan tak ki kul sansaar mar gaya..lekin woh nahi mara jise Ram ka aasra tha..arthat ram naam japne wala hi amar hai...

------------------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment