Tuesday, March 4, 2014

Kabir Dohe -8-


आया था किस काम को, तू सोया चादर तान ।
सूरत सम्भाल ये गाफील, अपना आप पहचान ॥

Aaya tha kis kaam ko, tu soya chadar tan
surat sambhal ye gaafil, apna aap pehchan...

Kabeer das ji kahate hain ki ye gaafil! tu chadar tan kar so raha hai,apne hosh theek kar aur apne ko pehchan,tu kis kaam ke liye aaya tha aur tu koun hai..? swayam ko pehchan aur satkarmo me lag ja..

------------------------------------------------------------------------------------------

क्या भरोसा देह का, बिनस जात छिन मांह ।
साँस साँस सुमिरन करो और यतन कुछ नाह ॥

Kya bharosa deh ka, binas jat chin maanh
saans saans sumiran karo aur yatan kuch naah...

Is shareer ka kya vishwas hai yeh toh pal pal mein mita hi ja raha hai.isliye apne har saans par hari ka sumiran karo aur koi upay nahi hai...

------------------------------------------------------------------------------------------

गारी ही सों ऊपजे ,कलह, कष्ट और मींच ।
हरी चले सो साधु है, लागी चले तो नीच ॥

Gari hi son Upaje ,kalah, kasht aur meench
hari chale so sadhu hai, lagi chale toh neech...

Gali(durvachan) se hi kalah aur dukh tatha mrutyu paida hoti hai.jo gali sunkar har mankar chala jaye vahi sadhu jano.yani sajjan purush aur jo gali dene ke badle men gali dene lag jate hai wah neech prakruti ka hai....

------------------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment