Tuesday, March 4, 2014

Kabir Dohe -7-


माँगन मरण समान है, मति माँगो कोई भीख ।
माँगन ते मारना भला, यह सतगुरु की सीख ॥

Maangan maran saman hai, mati mango koi bhikh
maangan te marna bhala, yeh satguru ki sikh..

Maangna marne ke barabar hai,isliye kisi se bhikh mat maango.sat guru kahate hain ki maangne se mar jana behtar hai.arthat hey manusya,purusharth se pratyek vastu swayam prapt karne ke liye sakhyam ban...

------------------------------------------------------------------------------------------

जहाँ आपा तहाँ आपदा, जहाँ संशय तहाँ रोग ।
कह कबीर यह क्यों मिटे, चारों धीरज रोग ॥

Jahan aapa tahan aapda, jahan sanshay tahan rog
kah kabeer yeh kyon mite, charon dheeraj rog....

Jahan manusya men ghamand ho jata hai uss par aapttiyan aane lag jati hain.aur jahan sandeh hota hai wahan ranj aur chinta ho jati hai..kabeer das ji kahate hain ki ye charo rog kaise mit sakt hain..?arthat dhairya s sab kaam banege..

------------------------------------------------------------------------------------------

माया छाया एक सी, बिरला जाने कोय ।
भगता के पीछे लगे, सम्मुख भागे सोय ॥

Maaya chaya ek si, birla jane koy
Bhagata ke piche lage, sammukh bhage soy...

Maaya aur chaya ek jaisi hai.isse koi koi hi jaanta hai.ye bhagne walon ke piche hi bhagti hai.aur jo sammukh khada ho kar saamna karta hai toh wo swayam hi bhag jaati hai...

------------------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment