Tuesday, March 4, 2014

Kabir Dohe -5-


माटी कहे कुम्हार से, तु क्या रौंदे मोय ।
एक दिन ऐसा आएगा, मैं रौंदूगी तोय ॥ 

Maati kahe kumhar se,tu kya rounde moy
ek din aisa aayega,main roundungi toy..

Mitti kumhar se kahati hai ki tu mujhe kya roundta hai.ek din aisa aayega ki main tujhe roundungi.arthat manusya ke marne ke baad uska shareer mitti ho jata hai...

-----------------------------------------------------------------------------------------

रात गंवाई सोय के, दिवस गंवाया खाय ।
हीरा जन्म अमोल था, कोड़ी बदले जाय ॥

Raat ganvaai soy ke,divas ganvaaya khay
heera janm aamol tha,kodi badle jay..

Raat ko sokar ganva di aur din kha pikar ganva diya.yeh heere jaisa anmol manusya shareer koudiyan mein badla ja raha hai...

-----------------------------------------------------------------------------------------

जो तोको काँटा बुवै ताहि बोव तू फूल ।
तोहि फूल को फूल है वाको है त्रिशूल ॥

Jo to ko kanta buve taahi buve ti phool
tohe phool ko phool hai vaako hai trishul...

Jo tere liye kanta boye tu uske liye phool bo.tujhe phool ke phool milenge aur usse trishul manind tej kante milenge.is dohe mein kabeer das ji ne yeha sikhya di hai ki he manusya!tu sabke liye bhala kar jo tere liye bura karte hain wah swayam apne dushkarmon ka fhal payenge...

-----------------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment