जहाँ दया तहाँ धर्म है,जहाँ लोभ तहाँ पाप ।
जहाँ क्रोध तहाँ पाप है, जहाँ क्षमा तहाँ आप ॥
Jahan daya tahan dharm hai, jahan lobh tahan pap
jahan krodh tahan pap hai, jahan khyama tahan aap..
Jahan daya hai wahan dhram hai aur jahan lobh hai wahan pap hai.aur jahan krodh hai wahin kaal hai yani naas hota hai aur jahan khyama hoti hai wahan swayam bhagvan hote hai..
------------------------------------------------------------------------------------------
धीरे-धीरे रे मना, धीरे सब कुछ होय ।
माली सींचे सौ घड़ा, ॠतु आए फल होय ॥
Dheere dheere re mana,dheere sab kuch hoy
maali sinche sou ghada,rootu aaye phal hoy...
Hey mann dheere dheere sab kuch ho jayega.Maali sau kodon ghade paani ped mein deta hai par phal rootu aane par hi lagta hai.arthat dairya rakhne se aur samay aane par hi kaam bante hain...
------------------------------------------------------------------------------------------
कबीरा ते नर अँध है, गुरु को कहते और ।
हरि रूठे गुरु ठौर है, गुरु रूठे नहीं ठौर ॥
Kabeera te nar andh hai, guru ko kehate aur
Hari ruthe guru thair hai,guru ruthe nahi thair..
Kabeer das ji kehate hain ki ve nar andhe hain jo guru ko bhagvan se chota samjhte hain kyun ki eswaar ke rusht hone par ek guru ka sahara toh hai,lekin guru ke naraz hone ke baad koi theekana nahi hai....
------------------------------------------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment