Tuesday, March 4, 2014

Kabir Dohe -1-


दुःख में सुमिरन सब करे सुख में करै न कोय।
जो सुख में सुमिरन करे दुःख काहे को होय ॥

Dukh Mein Simran Sab Karen, Sukh Mein Karay Na Koye
Jo Sukh Mein Simran Karay, To Dukh Kahay Ko Hoye.

Kabeer ji kehate hain ki dukh mein to paramatma ko sab yaad karte hain sukh mein koi yaad nahi karta.agar sukh mein bhi sab smaran karte toh dukh hi nahi hota...

------------------------------------------------------------------------------------------

तिनका कबहुँ ना निंदये, जो पाँव तले होय ।
कबहुँ उड़ आँखो पड़े, पीर घानेरी होय ॥


Tinka kabhun na nindiye, jo paav tale hoye
kab hun udd aankho pade, peer ghaneri hoye..

Tinka ko bhi chota na samjho chahe woh aap ke paav tale ho kyun ki yadi woh udkar aap ki aankh mein gire to kitna kast deta hai..

------------------------------------------------------------------------------------------

माला फेरत जुग भया, फिरा न मन का फेर ।
कर का मन का डार दे, मन का मनका फेर ॥ 

Maala fherat jug bhaya, fhira na man ka fher
kar ka man ka daar de,man ka man ka fher..

Kabeer ji kehate hain ki mala fherte fherte yug beet gaya tab bhi man ka kapat door nahi hua hai.hey Manusya!haath ka man ka chod de aur aur apne man rupi manke ko fher, arthat man ka sudhar kar!

------------------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment