Tuesday, March 4, 2014

Kabir Dohe -9-


दुर्बल को ना सताइए, जाकी मोटी हाय ।
बिना जिब की साँस सों, लोह भस्म हो जाय ॥

Durbal ko na sataaie, jaaki moti haay
bina jib ki saans son, loh bhasm ho jaay...

Kamzor ko kabhi nahi satana chahiye.jiski hay bahut badi hoti hai.jaisa aapne dekha hoga bina jeev ki dhoukani ki saans se loha bhi bhasm ho jata hai...

------------------------------------------------------------------------------------------

दान दिए धन ना घटे, नदी ना घटे नीर ।
अपनी आँखों देख लो, यों क्या कहे कबीर ॥

Dan diye dhan na ghate, nadi na ghate neer
apni aankhon dekh lo, yon kya kahe kabeer...

Kabeer ji kahate hain ki tum dhayan se dekho ki nadi ka pani peene se kam nahi hota aur dan dene se dhan nahi ghat.ta....

------------------------------------------------------------------------------------------

दस द्वारे का पिंजरा, तामे पंछी का कौन ।
रहे को अचरज है, गए अचम्मा कौन ॥

Das dware ka pinjara, tame panchi ka koun
rahe ko acharaj hai, gae achamma koun...

Yeh shareer das darwajon ka pinjara hai.is men(aatma) hawa naam ka panchi hai.hame is ke pinjare men rahne se achambha hota hai.yadi yeh is shareer se nikal jave to achambha kyun hi..?yani manusya ki mrutyu koi achambhe ki baat nahi...

------------------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment